Thursday, October 15, 2009

Kal..Aaj..Kal..

Kal jo beet gya
wo islie gaya
kyunki usse jana tha
wo apna kaam kargya
hume jeevan ke mayane sikha gya
hume ek nayi seekh de gya
hume humari galatiyan bta gya
taki hum aane wale kal ko sawar sake
jeevan ke har pehlu ka samne kar sake
Aaj
hume aaj ko jeena hai
taki kal jo aane wala hai
uski ehmiyat jaan sake
is samay main jo hum karenge
wo aage humare saath chalega
humare aj ke kadamo ke neeshan
aane wale kal main nazar aayenge
dhundhale hi sahi
magar wo dil main geher ka jayenge
islie
hume beete hue kal aur aaj ko milakar
aane wale kal to jeena hai..