Wednesday, June 26, 2013

Tarana

Masti mein marna
Pyar se smjhana
Dil ki baatien batana
Dukh ko hasi mein udana

Hasna rulana
Khud ruth kar tujhe manana
Cheed kar chidana
Aur dheeme se muskurana

Ghumne jana
Fir lad kar wapis ana
Agle din fir sab
Pehle jaisa ho jana

Anjaani raaho par chalna
SMS mein kahani bhejna
Barish mein bheegna
Kabhi mitti udana

Yaadon mein taaza hai
College days ka woh tarana..