Tuesday, August 18, 2009

Tumne

Tumne mujhe tab jana
jab duniya ne kara begana
meri hasi ke peeche,
chupe raaz ko pehchana
meri khamoshi ki wajh ko khoja
meri dil main basi tasveer ko tarasha
mere khawbon ko sajaya
meri umeedon ko badhaya
meri aankho ki nami ko chupaya
meri ankahi baaton ke matlab ko jana
us udasi ko hasi main badla
mujhe dosti ka matlab samjhaya
aur khud ko mere jeevan main basaya
har kadam par saath nibhaya
mere akelepan ko mehfil banaya
un lamho main jab koi na saath tha
apni duniya se mujhe milwaya
tumne mujhe aisi tasveer main tarasha
aj sab kehte hai tumsa koi na muskurata
fir bi jaane kyu tumnhe kyu na jana
tumhara jo dil main koona hai
usme tumhare sivaye koi aur na samata
simta hua tha sab achanak sab bikhar gaya
ek hawa ke jhoke se tumhe maine kho diya

No comments: