Monday, June 28, 2010

Palon main..

Ek choti si baat
yuh badha dete the..
badi badi baatein
hasi main uda dete the..
har roz jeevan jeene ka
ek naya andaz batate the..
magar jab tujh pe aaye
toh sab bhula dete the..
aisi zindagi ti
un palon main..

lade agr bahut the hum
toh roye bhi kam na the..
magar jo choot gaya tha
usse khoye kabhi hum na the..
har lamhe ko sanjho kar
har kisse ko peero kar
rakhte the..
lafzon main bayan na kar sakne wali
dosti chupi ti
un palon main..

rooth te to hum bahut the
mana fir bi tum lete the..
kabhi udasi chati thi
toh hasa hum bhi tumhe dete the..
ek pal main pyar
dusre pal main var..
aisi laakhon
unkhahi koshishen chupi ti
un palon main..

ab hai akele
tanha pad gaye hai..
bin aahat chale gaye
hum toh sote reh gaye hai..
alvida toh karne dete
shikwe toh kehne dete..
kyu yeh gile chod gaye
aise hi muh mood gaye..
ab to bas
bebasi hai
in palon main..

tum yaad toh bahut aate ho
har lamha satate ho..
tumhara har shabd
kaano main gunjta hai..
tumhara chehra
dimag main rehta hai..
najane main kya karungi??
tune mujhe dhoka diya
main kyu wafayein nibaungi..
yahi soch soch
mera dil ghabrata hai..
ab bebas hu
takdeer par hasti hu..
maaf karna ae dost
jazbati hu
in palon main..

Dedicado a mi Casper

2 comments:

Punkster said...

Beautiful.
The pain of parting is just unbearable. Can totally relate to you.

Punkster

Vidhi Malik said...

absolutely..